Friday, May 11, 2007

kuch ashayar

Hai mohabbat toh naaraz hone ka haq de
dariya ko bhi kabhi pyaas hone ka haq de

gumnaam cheekh tha ek, baazare-e-shor mey main
meri khamoshi ko ab, awaaz hone ka haq de

duur se dekh kar bedard kehne waale
patthar ko bhi kabhi gudaz hone ka haq de

jo kuch diya hai , tune diya hai
apni kismat pe sab ko naaz hone ka haq de